Salim Shuja Ansari

mujhe jab bhi kabhi teri kami mahsus hoti hai

Salim Shuja Ansari

Firozabad, Uttar pradesh, India

mujhe jab bhī kabhī terī kamī mahsūs hotī hai
tirī ḳhushbū tirī maujūdgī mahsūs hotī hai
yahī in.aam hai shāyad mirī chehra-shanāsī kā
ḳhud apnī shakl bhī ab ajnabī mahsūs hotī hai
yūñhī be-kaif lamhoñ ke guzar jaane se kyā hāsil
kisī kā saath ho to zindagī mahsūs hotī hai
kisī kī yaad ke jugnū safar meñ jhilmilāte haiñ
añdhere rāstoñ par raushnī mahsūs hotī hai
zarūrī to nahīñ takmīl se taskīn ho jaa.e
samundar ko bhī aksar tishnagī mahsūs hotī hai
tasavvur kī zamīñ par fasl ugtī hai sarāboñ kī
namī hotī nahīñ lekin namī mahsūs hotī hai
na jaane kaun sā rishta hai apne darmiyāñ 'sālim'
tū ḳhush hotā hai to mujh ko ḳhushī mahsūs hotī hai
Top Urdushayar.com