Salim Shuja Ansari

aaj shayad zindagi ka falsafa samjha hun main

Salim Shuja Ansari

Firozabad, Uttar pradesh, India

aaj shāyad zindagī kā falsafa samjhā huuñ maiñ
huuñ zarūrat zindagī kī is liye zinda huuñ maiñ
hai mirī taḳhlīq meñ unsur baġhāvat kā koī
jis jagah pābandiyāñ thiiñ us jagah pahuñchā huuñ maiñ
ik ajab sā hai ta.alluq us ke mere darmiyāñ
aisā lagtā hai ki us kī zaat kā hissa huuñ maiñ
haiñ numāyāñ jis ke chehre par haqīqat ke nuqūsh
tere shahr-e-ḳhvāb meñ vo aadmī tanhā huuñ maiñ
chhā gayā huuñ ḳhauf ban kar apne hī a.asāb par
aur kabhī be-ḳhauf ho kar ḳhauf se niklā huuñ maiñ
haiñ zamīñ par har taraf mere hī qadmoñ ke nishāñ
roz-e-avval se hī 'sālim' koī āvāra huuñ maiñ
Top Urdushayar.com