dhaḌkaneñ ban ke jo siine meñ rahā kartā thā
kyā ajab shaḳhs thā jo mujh meñ jiyā kartā thā
nāḳhun-e-vaqt ne har naqsh khurach Daalā hai
merā chehra mirī pahchān huā kartā thā
kaa.ī hoñToñ pe hama-vaqt jamī rahtī thī
ek dariyā mirī āñkhoñ meñ thamā kartā thā
ik talātum thā tah-e-āb sukūt-e-dariyā
dil-e-ḳhāmosh meñ ik shor rahā kartā thā
murta.ish hotā thā jab ḳhāma-e-añgusht kabhī
kyā kyā qirtās-e-ḳhalā par maiñ likhā kartā thā
zehn-o-dil is liye sargarm-e-amal rahte the
rahnumā.ī mirī har vaqt ḳhudā kartā thā
ābla-pā.iyāñ kartī thiiñ agar dil-shikanī
hausla phir rah-e-ummīd ko vā kartā thā
ho gayā nazr bil-āḳhir mirī haq-goī kī
ek sar jo kabhī shānoñ pe sajā kartā thā
kyā huā aaj ai 'sālim' vo shu.ūr-e-bāliġh
jo qalam-zad tirī tahrīr kiyā kartā thā