Salim Shuja Ansari

ghubar-e-fikr ko tahrir karta rahta hun

Salim Shuja Ansari

Firozabad, Uttar pradesh, India

ġhubār-e-fikr ko tahrīr kartā rahtā huuñ
maiñ apnā dard hama-gīr kartā rahtā huuñ
ridā-e-lafz chaḌhātā huuñ turbat-e-dil par
ġhazal ko ḳhāk-e-dar-e-'mīr' kartā rahtā huuñ
nabard-āzmā ho kar hayāt se apnī
hamesha fat.h kī tadbīr kartā rahtā huuñ
na jaane kaun sā ḳhāka kalām-e-fan Thahre
har ik ḳhayāl ko tasvīr kartā rahtā huuñ
badaltā rahtā huuñ girte hue dar-o-dīvār
makān-e-ḳhasta meñ ta.amīr kartā rahtā huuñ
lahū ragoñ kā masāfat nichoḌ letī hai
maiñ phir bhī ḳhud ko safar-gīr kartā rahtā huuñ
udaas rahtī haiñ mujh meñ sadāqateñ merī
maiñ lab-kushā.ī meñ tāḳhīr kartā rahtā huuñ
sadā.eñ detī haiñ 'sālim' bulandiyāñ lekin
zamīñ ko paañv kī zanjīr kartā rahtā huuñ
Top Urdushayar.com