ham use pyaar kā tohfa bhī nahīñ de sakte
mas.ala ye hai ki dhokā bhī nahīñ de sakte
beach majdhār meñ ḳhud chhoḌ dī jis ne patvār
ab use tum koī tinkā bhī nahīñ de sakte
dariyā-dil vo ke hameñ sauñp dī ġham kī jāgīr
ḳhud-ġharaz ham use hissa bhī nahīñ de sakte
chāñd bhī duur idhar aur havā bhī hai ḳhilāf
ham to uḌtā huā bosa bhī nahīñ de sakte
be-sabab bhiiḌ meñ rahte haiñ vo bechain magar
merī tanhā.ī ko lamha bhī nahīñ de sakte