kuchh aise vasl kī rāteñ guzārī hai maiñ ne
tamām shab terī sūrat nihārī hai maiñ ne
abhī se saarā samundar uchhāl mārtā hai
abhī to dariyā meñ kashtī utārī hai maiñ ne
ye saare raste mujhe khīñchne lage hai ab
kuchh itnā chīḳh ke manzil pukārī hai maiñ ne
tamām-umr tirī justujū rahī mujh ko
tamām-umr safar meñ guzārī hai maiñ ne