laash kī tarah ho chukā huuñ maiñ
jaane kis tarah jī rahā huuñ maiñ
ḳhud ke andar hī qaid ho baiThā
apne pinjre meñ hī paḌā huuñ maiñ
sirf yādeñ mileñgī kamre meñ
ab yahāñ se chalā gayā huuñ maiñ
kaun mujh ko ghumātā rahtā hai
kis kī uñglī pe nāchtā huuñ maiñ
maiñ jo manzil pe ḳhud nahīñ pahuñchā
usī manzil kā rāsta huuñ maiñ
aañsū merī hañsī uḌāte hai
muskurāhaT pe ro liyā huuñ maiñ
zahr yuuñ hī piyegā ab mujh ko
huā yuuñ zahr pī chukā huuñ maiñ
ruuh se kuchh ḳharīdnā hai mujhe
jism ko sāñseñ bechtā huuñ maiñ
kho diyā raushnī meñ apnā vajūd
ab añdheroñ meñ DhūñDhtā huuñ maiñ
mere pīchhe koī na ro.egā
maut ke saath jā rahā huuñ maiñ