kahīñ zamīn ke paar aur āsmān ke paar
parinde DhūñD rahe haiñ ghar is jahān ke paar
maiñ thak chukā huuñ tirā intizār karte hue
magar pukār rahā hai koī thakān ke paar
bichhaḌ ke ro rahā hai is qadar kahānī se
pahuñch gayā thā vo kirdār dāstān ke paar
maiñ tere vasl kī shiddat se ḳhuub vāqif huuñ
mujhe milo to milo jism ke makān ke paar
tumhāre zikr kā me.aar ḳhuub gahrā hai
ḳhamoshiyoñ se kahīñ aage is zabān ke paar
yaqīñ kā haath pakaḌ lo ye mashvara hai mirā
bas ek ujḌā huā dasht hai gumān ke paar