tire husn-e-nazar kā ye bhī ik e.ajāz hai saaqī
ki har mai-kash zamīñ par āsmāñ parvāz hai saaqī
ḳhayāl itnā rahe bas apne sāġhar kī pilāne meñ
tirā anjām hai saaqī mirā āġhāz hai saaqī
kahīñ bāham-digar Takrā na jaa.eñ sāġhar-o-mīnā
mai-e-sa-josh is dam mā.il-e-parvāz hai saaqī
jabīn-e-shauq sajda kar kahāñ kā pās-e-rusvā.ī
ḳhushā-vaqte ki sargarm-e-ḳhirām-e-nāz hai saaqī
idhar bhī ik nazar o sab kī jānib dekhne vaale
ki ik riñd-e-ḳharābātī nazar-andāz hai saaqī
kareñ tauba to dil bechain agar pī leñ to rusvā.ī
ajab uljhan meñ apnī mai-kashī kā raaz hai saaqī
sharāb-e-arġhavānī bhī piyūñ maiñ ḳhud to paanī hai
pilā.e tū jo paanī bāda-e-shīrāz hai saaqī
pas-e-tauba mujhe piine meñ āḳhir kyoñ ta.ammul ho
ba-hamdillāh dar-e-tauba abhī tak baaz hai saaqī
vo kyoñ jaane lagā dair-o-haram kī Thokareñ khāne
tire 'afqar' ko tere mai-kade par naaz hai saaqī