sunī to us ne ġhairoñ se huā go bad-gumāñ ham se
bahar-sūrat rahī behtar hamārī dāstāñ ham se
zabāñ par aa.egī kyā paas nāmūs-e-mohabbat se
nahīñ dohrā.ī jaatī dil meñ apnī dāstāñ ham se
chune the chaar tinke ek din sehn-e-gulistāñ meñ
rahā tā-zindagī barham mizāj-e-bāġhbāñ ham se
duhā.ī hai ġham-e-majbūrī-e-imkāñ duhā.ī hai
ki phirtī haiñ dam-e-rehlat hamārī putliyāñ ham se
subuk-sar rah chuke haiñ ham bhī duniyā meñ kabhī lekin
ye zikr us vaqt kā hai aap jab the sargirāñ ham se
qafas hī ho gayā tūl-e-asīrī se nasheman jab
na chhūTe āshiyāñ se ham na chhūTā āshiyāñ ham se
zamāna dūsrī karvaT badaltā bhī to kyā hotā
badal jaatī na uftād-e-zamīn-o-āsmāñ ham se
bahār aane se pahle ik pareshāñ ḳhvāb dekhā thā
ki jaise fasl-e-gul meñ chhuT rahā hai āshiyāñ ham se
zamāna sāziyāñ qurbāñ ma.aal andeshiyāñ sadqe
vo sunñe aaj baiThe haiñ hamārī dāstāñ ham se
madad ai lazzat-e-zauq-e-asīrī ab ye hasrat hai
qafas vaale badal lete hamārā āshiyāñ ham se
tasavvur meñ khiñchā naqsha hai un ke rū-e-rañgīñ kā
ba-zāhir parda-e-dil meñ haiñ 'afqar' vo nihāñ ham se