Afqar Mohani

saba ko fikr hai kaba naya banane ki

Afqar Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1887-1971
sabā ko fikr hai ka.aba nayā banāne kī
ki jam.a kartī hai ḳhaak un ke āstāne kī
falak ko zid hai nasheman mirā miTāne kī
chaman meñ dhun hai mujhe āshiyāñ banāne kī
zamīñ pe lāla-o-gul se hai ibtadā-e-bayāñ
shafaq hai āḳhirī surḳhī mire fasāne kī
isī se niklegā ta.amīr kā bhī ik pahlū
zarūr chāhiye taḳhrīb āshiyāne kī
hazār jalva-e-be-rañg sad matā.a-e-nazar
nahīñ hai husn ko hājat naqāb uThāne kī
khulā ye raaz ki thiiñ kis qadar fareb-e-nazar
ajal ke bhes meñ rañgīniyāñ zamāne kī
asīro kar lo nasheman kā āḳhirī mātam
qafas meñ aa.ī hai ḳhaak uḌ ke āshiyāne kī
sunī thī vus.at-e-duniyā kī dāstāñ ham ne
magar milī na jagah āshiyāñ banāne kī
ye kah ke palTe haiñ duniyā ke dekhne vaale
ki ye jagah nahīñ vallāh dil lagāne kī
banā bahār meñ ujḌā ḳhizāñ meñ ai 'afqar'
haqīqat itnī hī bas apne āshiyāne kī
Top Urdushayar.com