ḳhudā.ī mujh ko mil jaatī ḳhudā-e-do-jahāñ miltā
jo tum milte to goyā hāsil-e-kaun-o-makāñ miltā
ġhulām-e-sāqī-e-kausar huuñ mai kī kyā kamī mujh ko
na miltā gar yahāñ sāġhar mirā hissa vahāñ miltā
ise kab koī pā saktā use kyā dekhtā koī
nazar se duur dil kī vus.atoñ meñ jo nihāñ miltā
unheñ kab niiñd aa.ī sunte sunte dil kā afsāna
yahī thā vaqt jab un ko bhī lutf-e-dāstāñ miltā
jalātī ek bijlī kyūñ-kar itne āshiyānoñ ko
chaman ke patte patte par hamārā āshiyāñ miltā
hamāre sajda-e-be-āstāñ kā ye karishma thā
na hotā āstāñ jis jā vahāñ bhī āstāñ miltā
vahāñ do chaar sajde tum bhī kar lo jā ke ai 'afqar'
pa.e sajda zamīñ se jis jagah hai āsmāñ miltā