Afqar Mohani

jawani mein nazar ko tabe-e-ahkaam hone do

Afqar Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1887-1971
javānī meñ nazar ko tābe-e-ahkām hone do
ye uTh jaa.e jidhar us samt qatl-e-ām hone do
adāoñ ko sharīk-e-gardish-e-ayyām hone do
javānī meñ kisī kī hashr kā hañgām hone do
nazar ke saath ho jā.egā qaa.em daur-e-mai-ḳhāna
zarā gardish meñ chashm-e-sāqī-e-gulfām hone do
nazar aa jā.egā duniyā ko barq-o-tūr kā aalam
dam-e-dīdār be-ḳhud mujh ko zer-e-bām hone do
na ham dil ko chhupā.eñ aur na tum phero nigāhoñ ko
ham apnā kaam hone deñ tum apnā kaam hone do
ḳhudā ma.alūm le jaa.e kahāñ zauq-e-talab mujh ko
abhī to be-ḳhudī-e-shauq kā anjām hone do
kamī hai marne vāloñ kī na qātil kī zamāne meñ
kisī kī har adā kahtī hai qatl-e-ām hone do
ḳhudā vaalo na roko mujh ko mere zauq-e-isyāñ se
mujhe roz-e-qayāmat morid-e-ilzām hone do
abhī kuchh gardisheñ baaqī haiñ jām-e-zīst kī 'afqar'
abhī kuchh der shaġhl-e-bāda-e-gulfām hone do
Top Urdushayar.com