haram kahtā hai kuchh dair-e-butāñ kuchh aur kahtā hai
tarīq-e-manzil-e-vāraftgāñ kuchh aur kahtā hai
har ik se un kā vahshī dāstāñ kuchh aur kahtā hai
nahīñ hotā jahāñ koī vahāñ kuchh aur kahtā hai
amīr-e-kārvāñ kyā hai ḳhudā-e-kārvāñ ham the
magar ab to ġhubār-e-kārvāñ kuchh aur kahtā hai
har ik jalve meñ ik parda har ik parda meñ ik jalva
ba-har-sūrat sahāb-e-darmiyāñ kuchh aur kahtā hai
janāb-e-shaiḳh ke lab par ḳhudā kā naam aatā hai
subūhī-kash magar vaqt-e-azāñ kuchh aur kahtā hai
ye maanā jannat-e-husn-e-nazar thī zindagī apnī
magar ḳhamyāza-e-umr-e-ravāñ kuchh aur kahtā hai
mirī hastī kā har zarra hai gunjā.ish-talab ab tak
ki pā kar vus.at-e-kaun-o-makāñ kuchh aur kahtā hai
qafas meñ laakh sāmān-e-tarab sayyād hai lekin
mirā naala ba-nām-e-āshiyāñ kuchh aur kahtā hai
nahīñ hotī hai hujjat ḳhatm tanhā āb-o-dāna par
are sayyād asīr-e-be-zabāñ kuchh aur kahtā hai
utārī jā rahī haiñ qaidiyoñ kī beḌiyāñ lekin
nishān-e-halqa-e-tauq-e-garāñ kuchh aur kahtā hai
ajab uljhan meñ Daalā tū ne o muñh pherne vaale
ki dil kuchh aur kahtā hai gumāñ kuchh aur kahtā hai
mirā har ek sajda muntazir hai qaul-e-faisal kā
jabīñ kuchh kah rahī hai āstāñ kuchh aur kahtā hai
kalām-e-'mīr'-o-'mirzā' qābil-e-sad-nāz hai 'afqar'
magar 'momin' kā andāz-e-bayāñ kuchh aur kahtā hai