kuchh ajab ye bārgāh-e-ishq kā dastūr hai
jitnā jo muḳhtār hai utnā hī vo majbūr hai
maut par qudrat hai jiine kā nahīñ maqdūr hai
tū hī dard-e-dil batā ab kyā tujhe manzūr hai
ho ke muḳhtār iḳhtiyār-e-ḳhair-o-shar se duur hai
itnī qudrat par bhī insāñ kis qadar majbūr hai
kitnā pur-hairat hai manzar āstān-e-yār kā
duur se nazdīk-tar nazdīk se phir duur hai
lazzat-e-zauq-e-asīrī hai asīrī kā sabab
varna chāheñ to qafas se āshiyāñ kyā duur hai
gum huā huuñ shauq-e-manzil meñ kuchh is andāz se
ye nahīñ ma.alūm manzil mujh se kitnī duur hai
vo tasavvur se na jaa.eñ jaan jaa.e yaar hai
mujh ko ye bhī be-ḳhudī-e-ishq meñ manzūr hai
ek vo haiñ jin kī tūfāñ meñ hai sāhil par nazar
Dūbne vaale ko sāhil se bhī sāhil duur hai
kis se ho 'afqar' umīd-e-chārasāzī dahr meñ
jo bhī is duniyā meñ hai majbūr hai majbūr hai