shab-e-firāq hamārā vo nīm-jāñ honā
ajal kā aap hī ghar meñ vo mehmāñ honā
ḳhafā na sun ke mirā haal mehrbāñ honā
ki is bayān ko ik din hai dāstāñ honā
dayār-e-husn kī sar-garmiyāñ ma.āz-allāh
har ik qadam pe mohabbat kā imtihāñ honā
koī sitam ho yahīñ se shurūa hotā hai
ġhazab hai kūcha-e-jānāñ kā āsmāñ honā
ajal se pahle sabā le uḌī sar-e-manzil
kahāñ pe aayā hai kaam apnā nā-tavāñ honā
uThā vo dard kaleje meñ vo gire aañsū
nahīñ hai khel mohabbat kā rāz-dāñ honā
nigāh-e-qahr kabhī aur kabhī karam kī nazar
inhīñ adāoñ kā mil-jul ke dāstāñ honā
vo kyā kare na miTe gar tirī mohabbat meñ
likhā ho jis ke muqaddar meñ be-nishāñ honā
abhī na shaad ho takmīl-e-ishq par 'afqar'
abhī hai tark-e-mohabbat kā imtihāñ honā