sharāb pī ke bhī mast-e-sharāb ho na sakā
tirā ḳharāb-e-mohabbat ḳharāb ho na sakā
isī pe ḳhatm haiñ nākāmiyāñ zamāne kī
tirī janāb meñ jo kāmyāb ho na sakā
tirī atā ke tasadduq tire karam ke nisār
gunāhgār thā lekin azaab ho na sakā
vufūr-e-husn kī vo shoḳhiyāñ ma.āz-allāh
shabāb tābe-e-ahd-e-shabāb ho na sakā
ḳharāb-e-ishq tirā ho ke saarī duniyā meñ
kisī kā bhī dil-e-ḳhāna-ḳharāb ho na sakā
uThī na arz-e-tamannā pe ḳhashmagīñ ho kar
tirī nigāh kā mujh par itaab ho na sakā
hazār rañg the lekin thā ek hī jalva
kamāl husn kā tere javāb ho na sakā
dalīl-e-pastī auj-e-falak hai ye 'afqar'
ki ḳhāk-bos-s-dar-e-bū-turāb ho na sakā