ye kis ke āstāne kī zamīñ ma.alūm hotī hai
ki jumbish meñ mirī lauh-e-jabīñ ma.alūm hotī hai
do-rañgī dair-o-ka.aba kī nahīñ ma.alūm hotī hai
haqīqat āshnā merī jabīñ ma.alūm hotī hai
maiñ chāhūñ bhī to sañg-e-āstāñ se uTh nahīñ saktā
ki juzv-e-āstāñ apnī jabīñ ma.alūm hotī hai
davāñ hai kashtī-e-umr-e-ravāñ yuuñ bahr-e-hastī meñ
kahīñ ubhrī kahīñ Duubī kahīñ ma.alūm hotī hai
ye ik be-rabt sī jāma-darī aur apne hī hāthoñ
jahāñ pahle thā dāman āstīñ mālūm hotī hai
ye jalva-zār-e-duniyā bhī ajab ā.īna-ḳhāna hai
ki har tasvīr hairat-āfrīñ ma.alūm hotī hai
tajallī husn-e-jānāñ kī nahīñ mauqūf aiman par
jahāñ mahsūs kartā huuñ vahīñ ma.alūm hotī hai
nazar aate haiñ jalve vo jahāñ ke un kī chaukhaT par
ḳhudā.ī ab mire zer-e-nagīñ ma.alūm hotī hai
utar aayā hai naqsha āstān-e-yār kā 'afqar'
jabīn-e-shauq ab merī jabīñ ma.alūm hotī hai