sar ko chāhā bhī uThānā to uThāyā na gayā
kar ke sajda tirā phir hosh meñ aayā na gayā
jalva-e-tūr kā ho dekhne vaalā be-ḳhud
ye bhī ik raaz thā ab tak jo batāyā na gayā
tū ne kis naaz se dekhā thā azal meñ in ko
aaj tak hosh meñ dīvānoñ se aayā na gayā
tā-dam-e-zīst na aayā mire naame kā javāb
nāma-bar mujh ko barābar hai gayā yā na gayā
vo miTā.eñge bhalā kyā mirī hastī 'afqar'
dahr meñ naqsh-e-vafā jin se miTāyā na gayā