makāñ chhoḌ kar lā-makāñ dekhte haiñ
kahāñ vo haiñ aur ham kahāñ dekhte haiñ
ta.ayyun kā har āstāñ dekhte haiñ
jahāñ tum nahīñ ham vahāñ dekhte haiñ
uThā lete haiñ ham bhī do-chār tinke
jo bante koī āshiyāñ dekhte haiñ
qafas meñ asīroñ pe girtī hai bijlī
chaman se jo uThte dhuāñ dekhte haiñ
nahīñ dekhte kuchh magar ahl-e-mahshar
mujhe yā mirī dāstāñ dekhte haiñ
haqīqat meñ dair-o-haram ek haiñ jab
tujhe donoñ ke darmiyāñ dekhte haiñ
ye aaheñ haiñ merī ye naale haiñ mere
jinheñ āsmāñ āsmāñ dekhte haiñ
dar-e-yār hai phir dar-e-yār 'afqar'
jināñ ko ba-hadd-e-jināñ dekhte haiñ