dil ġhanī hai to muflisī kyā hai
ghar meñ allāh ke kamī kyā hai
ik talavvun hai do mizājoñ kā
dostī kyā hai dushmanī kyā hai
zid kī hai aur baat ai nāseh
varna baat aap kī burī kyā hai
husn hai be-niyāz jalvoñ se
chāñd kyā jaane chāñdnī kyā hai
jaan kī shart hai mohabbat meñ
itnī sī baat baat hī kyā hai
har nafas yaad hai tirī ai dost
aur manshā-e-bandagī kyā hai
kyā farishte batā.eñge 'afqar'
ham se pūchho ki aadmī kyā hai