Afqar Mohani

ajal ne luT liya aa ke karwan-e-hayat

Afqar Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1887-1971
ajal ne luuT liyā aa ke kārvān-e-hayāt
sunā rahā huuñ zamāne ko dāstān-e-hayāt
hazāroñ karvaTeñ badlīñ zamāne ne lekin
uThe na ḳhvāb taġhāful se ḳhuftagān-e-hayāt
rahā na piirī meñ jab kuchh bhī zindagī kā maza
sahar ke vaqt chale uTh ke mehmān-e-hayāt
rah-e-adam kī vo dushvāriyāñ ma.āz-allāh
ki mar ke pahuñche haiñ manzil pe rahravān-e-hayāt
bahār-e-jalva-gah-e-yār terā kyā kahnā
adam se aa.e haiñ hastī meñ tālibān-e-hayāt
yahī bulandī-o-pastī hai bas zamāne kī
hai ik zamīn-e-hayāt ek āsmān-e-hayāt
kisī tarah bhī talāfī-e-zīst ho na sakī
qazā ke sar pe rahā ḳhūn-e-kushtagān-e-hayāt
khilā na ġhuncha-e-dil bāġh-e-dahr meñ 'afqar'
ḳhizāñ-nasīb rahā apnā gulistān-e-hayāt
Top Urdushayar.com