us kī nahīñ ḳhudā.ī ki us kā ḳhudā nahīñ
tum jis ko mil ga.e use phir kyā milā nahīñ
sajde se sar uThāne ko jī chāhtā nahīñ
ab yā to ham nahīñ dar-e-dildār yā nahīñ
ik paikar-e-ḳhayāl kī allāh re mahviyat
maiñ ḳhud bhī ab nigāh meñ apnī rahā nahīñ
mahshar nisār us nigah-e-sharmsār par
kahnā paḌā ḳhudā se ye qātil mirā nahīñ
vo tinke jab uThā.e jalā Daale barq ne
gulshan meñ āshiyāñ kabhī apnā banā nahīñ
hadd-e-nigāh kab tirī rif.at ko pā sake
jalva tirā muqayyad-e-arz-o-samā nahīñ
darkār hai nigāh-e-karam varna ai karīm
mere liye ḳhazāna-e-qudrat meñ kyā nahīñ
nazreñ judā judā haiñ ḳhayālāt muḳhtalif
merī nazar se koī nahīñ dekhtā nahīñ
ik vaqfa-e-hayāt hai duniyā hai jis kā naam
itnī sī kā.enāt ko maiñ chāhtā nahīñ
is e'tinā kī daad bhī ai be-niyāz-e-ḳhalq
merā sar-e-niyāz kahīñ par jhukā nahīñ
andāza-e-jamāl ba-qadr-e-nigāh hai
chashm-e-kalīm jalva-tarāz-e-adā nahīñ
tū hī batā ki jaa.e kahāñ tujh ko chhoḌ kar
'afqar' tirā gadā hai kisī kā gadā nahīñ