Afqar Mohani

wo umangen nahin ab wo dil-e-nashad nahin

Afqar Mohani

Unnao, Uttar pradesh, India

1887-1971
vo umañgeñ nahīñ ab vo dil-e-nāshād nahīñ
vāqi.a ḳhvāb sā kuchh yaad hai kuchh yaad nahīñ
kaun se zarre pe duniyā-e-ġham ābād nahīñ
dil-e-barbād hamārā dil-e-barbād nahīñ
vo ho duniyā ki lahad yā ki ho roz-e-mahshar
mubtalā-e-ġham-e-jānāñ kahīñ āzād nahīñ
tū jo sargarm-e-tamāshā ho dam-e-mashq-e-sitam
kis ko phir shauq-e-shahādat sitam-ījād nahīñ
paas hai zabt-e-mohabbat kā sitamgar varna
ik nafas bhī mirā begāna-e-fariyād nahīñ
ab to har samt nazar aate haiñ jalve jalve
be-ḳhudī meñ koī parda dil-e-nāshād nahīñ
kāvish-e-dām-o-qafas mere liye thī goyā
varna gulshan hai vahī aaj bhī sayyād nahīñ
tābish-e-husn se ik be-ḳhudī chhā.ī pahle
baad us ke huā phir kyā ye mujhe yaad nahīñ
mar ke 'afqar' yahāñ miltī hai hayāt-e-jāved
āstāñ yaar kā hai jannat-e-shaddād nahīñ
Top Urdushayar.com