Lala Madhav Ram Jauhar

kisi ko lakh alam ho zara malal nahin

Lala Madhav Ram Jauhar

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1810-1890
kisī ko laakh alam ho zarā malāl nahīñ
koī mare ki jiye kuchh unheñ ḳhayāl nahīñ
ye jāntā huuñ magar kyā karūñ tabī.at ko
ki mai harām hai ai vā.izo halāl nahīñ
abas ġhurūr hai mañgvā ke aa.ina dekho
vo rañg-o-rūp nahīñ ab vo sin o saal nahīñ
huzūr aap jo hote to koī kyuuñ bantā
ye ḳhūbī aap kī hai ġhair kī majāl nahīñ
idhar to dekho hameñ do hī din meñ bhuul ga.e
ye be-muravvatī allāh kuchh ḳhayāl nahīñ
bahār-e-husn ye do din kī chāñdnī hai huzūr
jo baat ab kī baras hai vo pār-sāl nahīñ
hazar na kījiye milne se ḳhāksāroñ ke
duā to hai jo faqīroñ ke paas maal nahīñ
kisī ne jā ke burā.ī kahī jo 'jauhar' kī
kahā ye jhuuT hai us kī to ye majāl nahīñ
Top Urdushayar.com