Lala Madhav Ram Jauhar

thoDa hai jis qadar main paDhun KHat habib ka

Lala Madhav Ram Jauhar

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1810-1890
thoḌā hai jis qadar maiñ paḌhūñ ḳhat habīb kā
dekhā hai aaj āñkhoñ se likkhā nasīb kā
ham mai-kashoñ ne nashshe meñ aise kiye savāl
dam band kar diyā sar-e-mimbar-ḳhatīb kā
sayyād ghaat meñ hai kahīñ bāġhbāñ kahīñ
saarā chaman hai dushman-e-jāñ andalīb kā
apnī zabān se mujhe jo chāhe kah leñ aap
baḌh baḌh ke bolnā nahīñ achchhā raqīb kā
āñkheñ safed ho ga.iiñ jab intizār meñ
us vaqt nāma-bar ne diyā ḳhat habīb kā
qismat Dubone laa.ī hai dariyā-e-ishq meñ
ai ḳhizr paar kījiye beḌā ġharīb kā
vo be-ḳhatā haiñ un se shikāyat hī kis liye
'jauhar' ye sab qusūr hai apne nasīb kā
Top Urdushayar.com