husn par zebā nahīñ ye lan-tarānī aap kī
chaar din kī chāñdnī hai naujavānī aap kī
ham bhī kuchh muñh se jo kah baiTheñ to phir kitnī rahe
dekhiye achchhī nahīñ ye bad-zabānī aap kī
kuchh samajh meñ haal ye aatā nahīñ hairān huuñ
aaj hai kaisī ye mujh par mehrbānī aap kī
baaz aa.e ham ye apnā-āp chhallā lījiye
har kisī ke haath meñ hai ab nishānī aap kī
raah meñ bhī dekh kar muñh pher lete haiñ huzūr
aaj kal hai kis qadar nā-mehrbānī aap kī
do ghaḌī ik rañg par qaa.em nahīñ husn-e-shabāb
kyā musavvir khīñche tasvīr-e-javānī aap kī
āb-e-haivāñ hai kahīñ zahr-e-halāhal hai kahīñ
talḳh-goī aap kī shīrīñ-zabānī aap kī
ḳhvāb meñ ham ko na aane dete to ham jānte
kī raqīboñ ne ye kaisī pāsbānī aap kī
apne marne kā nahīñ ġham rañj hai is baat kā
aaj uñglī se utartī hai nishānī aap kī
hāl-e-dil sunte nahīñ ye kah ke ḳhush kar dete haiñ
phir kabhī fursat meñ sun leñge kahānī aap kī
ham ko ye daulat kabhī miltī to ham bhī jānte
hogī jis ke vāste hogī javānī aap kī