Lala Madhav Ram Jauhar

gulzar mein jo dur gul-e-lala-rang ho

Lala Madhav Ram Jauhar

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1810-1890
gulzār meñ jo duur gul-e-lāla-rañg ho
vo be-hijābiyāñ hoñ ki nargis bhī dañg ho
sayyād o bāġhbāñ meñ bahut hotī hai salāh
aisā na ho kahīñ gul o bulbul meñ jañg ho
afsos maut bhī nahīñ aatī shab-e-firāq
vo kyā kare ġharīb jo jiine se tañg ho
kaafī hai boriyā hī faqīroñ ke vāste
ma.ayūb hai jo sheroñ ke ghar meñ palañg ho
laḌne ko dil jo chāhe to āñkheñ laḌā.iye
ho jañg bhī agar to mazedār jañg ho
jo dost haiñ vo māñgte haiñ sulh kī duā
dushman ye chāhte haiñ ki aapas meñ jañg ho
koī mare kisī ko ḳhushī ho ḳhudā kī shaan
mātam kisī jagah ho kahīñ nāch-rañg ho
Top Urdushayar.com