kunj-e-qafas se pahle ghar apnā kahāñ na thā
aa.e yahāñ to hausla-e-āshiyāñ na thā
tujh ko samajh ke ḳhvāb meñ pahuñchā maiñ jis jagah
dekhā jo aañkh khol ke to kuchh vahāñ na thā
ik ik qadam pe ab to qayāmat kī dhuum hai
aage to ye chalan kabhī ai jān-e-jāñ na thā
Thahrī jo vasl kī to huī sub.h shaam se
but mehrbāñ hue to ḳhudā mehrbāñ na thā
kyūñkar qasam pe aaj mujhe e'tibār aa.e
kis din ḳhudā tumhāre mire darmiyāñ na thā
toḌā jo phuul bulbul-e-shaidā ke sāmne
kyā tere dil meñ dard kuchh ai bāġhbāñ na thā