Lala Madhav Ram Jauhar

raat din chain hum ai rashk-e-qamar rakhte hain

Lala Madhav Ram Jauhar

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1810-1890
raat din chain ham ai rashk-e-qamar rakhte haiñ
shaam avadh kī to banaras kī sahar rakhte haiñ
bhāñp hī leñge ishāra sar-e-mahfil jo kiyā
tāḌne vaale qayāmat kī nazar rakhte haiñ
DhūñDh letā maiñ agar aur kisī jā hote
kyā kahūñ aap dil-e-ġhair meñ ghar rakhte haiñ
ashk qaabū meñ nahīñ raaz chhupā.ūñ kyūñkar
dushmanī mujh se mire dīda-e-tar rakhte haiñ
kaise be-rahm haiñ sayyād ilāhī tauba
mausam-e-gul meñ mujhe kaaT ke par rakhte haiñ
kaun haiñ ham se sivā naaz uThāne vaale
sāmne aa.eñ jo dil aur jigar rakhte haiñ
dil to kyā chiiz hai patthar ho to paanī ho jaa.e
mere naale abhī itnā to asar rakhte haiñ
chaar din ke liye duniyā meñ laḌā.ī kaisī
vo bhī kyā log haiñ aapas meñ sharar rakhte haiñ
hāl-e-dil yaar ko mahfil meñ sunā.ūñ kyuuñ kar
mudda.ī kaan udhar aur idhar rakhte haiñ
jalva-e-yār kisī ko nazar aatā kab hai
dekhte haiñ vahī us ko jo nazar rakhte haiñ
āshiqoñ par hai dikhāne ko itaab ai 'jauhar'
dil meñ mahbūb ināyat kī nazar rakhte haiñ
Top Urdushayar.com