but-kade meñ na tujhe kaabe ke andar paayā
donoñ aalam se judā ham ne tirā ghar paayā
yuuñ to duniyā meñ qayāmat ke parī-rū dekhe
sab se baḌh kar tujhe ai fitna-e-mahshar paayā
apnī apnī hai ye taqdīr sabhī the saa.il
ek ko shīsha milā ek ne patthar paayā
be-ḳhudī ne mujhe dīdār dikhāyā terā
tujh ko paayā to magar aap ko kho kar paayā
chashma-e-faiz hai kyā zaat mire saaqī kī
ek qatre ko kahā jis ne samundar paayā
ḳhush-nasīb aap bhī duniyā meñ haiñ kyā ai 'jauhar'
muntazir yaar ko pahle hī se dar par paayā