roz kahte the kabhī ġhair ke ghar dekh liyā
aaj to aañkh se ai rashk-e-qamar dekh liyā
kāba-e-dil se milī manzil-e-maqsūd kī raah
yaar kā ham ne usī kūche meñ ghar dekh liyā
jānib-e-ġhair ishāra jo huā jānte haiñ
ham ne ḳhud aañkh se dekhā ki idhar dekh liyā
kaun sotā hai kise hijr meñ niiñd aatī hai
ḳhvāb meñ kis ne tumheñ ek nazar dekh liyā
jab kahā maiñ ne nahīñ koī chalo mere ghar
ḳhuub raste meñ idhar aur udhar dekh liyā
bole chalne meñ nahīñ uzr mujhe kuchh lekin
ḳhauf ye hai kisī mufsid ne agar dekh liyā
aahoñ se aag lagā deñge dil-e-dushman meñ
chhup ke rahte haiñ jahāñ aap kā ghar dekh liyā
bach gayā naqd-e-dil ab ke to nazar se us kī
aa.egā phir bhī agar chor ne ghar dekh liyā