Lala Madhav Ram Jauhar

ye waiz kaisi bahki bahki baaten humse karte hain

Lala Madhav Ram Jauhar

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1810-1890
ye vaa.iz kaisī bahkī bahkī bāteñ ham se karte haiñ
kahīñ chaḌh kar sharāb-e-ishq ke nashshe utarte haiñ
ḳhudā samjhe ye kyā sayyād o gulchīñ zulm karte haiñ
guloñ ko toḌte haiñ bulbuloñ ke par katarte haiñ
dayā dam naza.a meñ go aap ne par ruuh chal niklī
kisī ke rokne se jaane vaale kab Thaharte haiñ
zarā rahne do apne dar pe ham ḳhāna-ba-doshoñ ko
musāfir jis jagah ārām paate haiñ Thaharte haiñ
na aa jaayā karo aġhyār kī ulfat jatāne meñ
vo tum par kyuuñ bhalā marne lage fāqoñ se marte haiñ
har ik mausam meñ kisht-e-ārzū sarsabz rahtī hai
taraddud ġhair ko hogā yahāñ to chain karte haiñ
ye joḌā kholnā bhī hech se ḳhālī nahīñ un kā
ulajh jaatā hai dil jab baal shānoñ par bikharte haiñ
samajh lenā tumhārā ai raqībo kuchh nahīñ mushkil
ḳhudā jaane ye kis kā ḳhauf hai ham kis se Darte haiñ
takalluf ke ye ma.anī haiñ samajh lo be-kahe dil kī
mazā kyā jab hamīñ ne ye kahā tum se ki marte haiñ
Top Urdushayar.com