shauq se dil ko tah-e-teġh-e-nazar hone do
jis taraf us kī tabī.at hai udhar hone do
dil kī kyā asl hai patthar bhī pighal jā.eñge
ai buto tum mire nāloñ meñ asar hone do
ġhair to rahte haiñ din raat tumhāre dil meñ
kabhī is ghar meñ hamārā bhī guzar hone do
nāseho ham to ḳharīdeñge matā-e-ulfat
tum ko kyā fā.eda hotā hai zarar hone do
valvale aglī mohabbat ke kahāñ se laa.eñ
aur paidā koī dil aur jigar hone do
chheḌne ko mire darbān kahā karte haiñ
Thahro jaldī na karo un ko ḳhabar hone do
kyuuñ mazā dekh liyā dil kī kashish kā tum ne
ham na kahte the mohabbat meñ asar hone do
ai shab-e-vasl-o-shab-e-aish-e-javānī Thahro
maiñ bhī hamrāh tumhāre huuñ sahar hone do
ranj o rāhat hai bashar hī ke liye ai 'jauhar'
vo bhī din dekh liye yuuñ bhī basar hone do