Lala Madhav Ram Jauhar

kaisa hi dost ho na kahe raaz-e-dil koi

Lala Madhav Ram Jauhar

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1810-1890
kaisā hī dost ho na kahe rāz-e-dil koī
niklī jo baat muñh se to phailī jahān meñ
sach sach kaho ye baat banānā nahīñ pasand
kyā kah rahe the ġhair abhī chupke se kaan meñ
pūchhā hai hāl-e-zār to sun lo ḳhatā-muāf
kuchh baat mere hoñToñ meñ hai kuchh zabān meñ
āshiq se pūchhiye na sar-e-bazm hāl-e-dil
parde kī baat sunte haiñ chupke se kaan meñ
furqat meñ kyā batā.ūñ ki din hai ki raat hai
āñkhoñ ko sūjhtā nahīñ rone ke dhyān meñ
qasr-e-jahāñ hai tere faqīroñ kā jhoñpaḌā
mahloñ se baḌh ke chain hai apne makān meñ
do din kī zindagī meñ jo chāhe koī kare
rah jaatī hai bhalā.ī burā.ī jahān meñ
Top Urdushayar.com