Lala Madhav Ram Jauhar

haram mein muddaton DhunDa shiwalon mein phira barson

Lala Madhav Ram Jauhar

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1810-1890
haram meñ muddatoñ DhūñDā shivāloñ meñ phirā barsoñ
talāsh-e-yār meñ bhaTkā kiyā maiñ bār-hā barsoñ
mahīnoñ haath joḌe kī ḳhushāmad bār-hā barsoñ
inheñ jhagḌoñ meñ mujh ko ho ga.e ai bevafā barsoñ
ma.āz-allāh is āzurdagī kā kyā Thikāna hai
jo pūchhā yaar se kab tak na bologe kahā barsoñ
ġhanīmat jaan jo din zindagī ke aish meñ guzreñ
kisī kā bhī nahīñ rahtā zamāna ek sā barsoñ
vahī ḳhūn-e-shahīd-e-nāz ab barbād hotā hai
rahā ban kar jo tere haath meñ rañg-e-hinā barsoñ
hamārī be-qarārī kā zarā tum ko na dhyān aayā
mahīnoñ muntazir rakkhā dikhāyā rāstā barsoñ
zamāne meñ hamesha har mahīne chāñd hotā hai
tirā jalva nazar aatā nahīñ ai mah-laqā barsoñ
vahīñ par le chalī be-tābi-e-dil vāh-rī qismat
phirā kī sar paTaktī jis jagah merī duā barsoñ
adā ho shukr kyūñ-kar be-kasī o nā-umīdī kā
rahī haiñ saath furqat meñ yahī do āshnā barsoñ
na aayā ek din bhī vo but-e-be-rahm ai 'jauhar'
uThā kar haath ka.abe kī taraf māñgī duā barsoñ
Top Urdushayar.com