Lala Madhav Ram Jauhar

aa gaya dil jo kahin aur hi surat hogi

Lala Madhav Ram Jauhar

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1810-1890
aa gayā dil jo kahīñ aur hī sūrat hogī
log dekheñge tamāshā jo mohabbat hogī
dil-lagī tark-e-mohabbat nahīñ taqsīr muaaf
hote hote mire qaabū meñ tabī.at hogī
un ke aane kī ḳhabar sun ke to ye haal huā
jab vo ā.eñge to phir kyā mirī hālat hogī
TukḌe kar Daale koī us ke to maiñ bhī ḳhush huuñ
dil na hogā na mirī jaan mohabbat hogī
vo chhupāyā kareñ is baat se kyā hotā hai
aap sar chaḌh ke pukāregī jo ulfat hogī
ye na farmāo shab-e-hijr kaTegī kyūñkar
tum ko kyā kaam jo hogī mirī hālat hogī
maar Daalā mujhe be-maut baḌā kaam kiyā
ḳhuub tārīf tirī ai shab-e-furqat hogī
ai dil-e-zār maza dekh liyā ulfat kā
ham na kahte the ki is kaam meñ zillat hogī
ye bhī kuchh baat hai phir vasl na ho ai 'jauhar'
rañj rāhat se huā rañj se rāhat hogī
Top Urdushayar.com