Lala Madhav Ram Jauhar

yar ne is dil-e-nachiz ko behtar jaana

Lala Madhav Ram Jauhar

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1810-1890
yaar ne is dil-e-nāchīz ko behtar jaanā
daaġh ko phuul to qatre ko samundar jaanā
kaT ga.e dekhte hī ham to tirī chashm-e-ġhazab
jumbish-e-abru-e-ḳhamdār ko ḳhanjar jaanā
sach hai yaksāñ hai adam aur vajūd-e-duniyā
aise hone ko na hone ke barābar jaanā
aañkh ham bāda-kashoñ se na milā ai jamshed
apne chullū ko tire jaam se baḌh kar jaanā
kab zamāne meñ hai mohtāj-e-makāñ ḳhāna-ḳharāb
ho ga.ī dil meñ kisī ke jo jagah ghar jaanā
samjhe 'jauhar' ko burā us kī shikāyat kyā hai
vahī achchhā hai jise aap ne behtar jaanā
Top Urdushayar.com