Lala Madhav Ram Jauhar

us ka mizaj puchho jo har waqt pas hai

Lala Madhav Ram Jauhar

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1810-1890
us kā mizāj pūchho jo har vaqt paas hai
us kī balā se dil jo hamārā udaas hai
poshāk se badan kī tajallī hai āshkār
fānūs-e-sham-e-tūr tumhārā libās hai
dil toḌ kar vo nashshe meñ kahte haiñ naaz se
kis kaam kā rahā hai ye TuuTā glass hai
farmā.iye mizāj-e-mubārak hai kis tarah
kuchh ḳhair to hai kis liye chehra udaas hai
muddat ke ba.ad aaj to tanhā mile huzūr
us par bhī pūchhte haiñ ki kyā iltimās hai
talvār kī hai qadr-shanāsī ke dam ke saath
'jauhar' ko jāntā hai jo jauhar-shanās hai
Top Urdushayar.com