Lala Madhav Ram Jauhar

dil jab se tere hijr mein bimar paDa hai

Lala Madhav Ram Jauhar

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1810-1890
dil jab se tire hijr meñ bīmār paḌā hai
jiine se ḳhafā jaan se be-zār paḌā hai
saudā na banā gesū-e-jānāñ se to kyā ġham
le leñge kahīñ aur se bāzār paḌā hai
parhez tap-e-hijr se hai tujh ko jo ai dil
tū aur bhī aage kabhī bīmār paḌā hai
farmā.iye roke se ruke haiñ kabhī āshiq
darvāze pe qufl aap ke sau baar paḌā hai
maiñ dair o haram ho ke tire kūche meñ pahuñchā
do manziloñ kā pher bas ai yaar paḌā hai
kī tark-e-mohabbat to liyā dard-e-jigar mol
parhez se dil aur bhī bīmār paḌā hai
tauqīr nahīñ anjuman-e-ḳhās meñ dil kī
shīsha tire mai-ḳhāna meñ bekār paḌā hai
kuchh shām-e-judā.ī meñ sujhā.ī nahīñ detā
parda ḳhirad o hosh pe ai yaar paḌā hai
'jauhar' kahīñ biktī hī nahīñ jins-e-mohabbat
kyā qaht vafā kā sar-e-bāzār paḌā hai
Top Urdushayar.com