Saqib Lakhnavi

ibrat-e-dahr ho gaya jab se chhupa mazar mein

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
ibrat-e-dahr ho gayā jab se chhupā mazār meñ
ḳhair jagah to mil ga.ī dīda-e-e'tibār meñ
toḌ rahā hai bāġhbāñ pañkhuḌiyāñ bahār meñ
koī to ho fidā-e-gul ek nahīñ mazār meñ
mahv huuñ yād-e-chehra-e-shāhid-e-gul-azār meñ
ab ye ḳhizāñ-nasīb dil jā ke milā bahār meñ
auj-e-nihād-e-tabā kī miT ke bhī shaan rah ga.ī
mar ke maiñ sū-e-asmāñ mil ke uḌā ġhubār meñ
mere libās-e-kohna se haTtī nahīñ hai un kī aañkh
shāyad ulajh ga.ī nazar jāma-e-tār-tār meñ
tum ne shab-e-firāq meñ dekhīñ nahīñ jo hālateñ
aaj vo aa ke dekh lo ālam-e-ehtizār meñ
jazb-e-shamīm-e-zulf hai dāna-e-dām se sivā
saikḌoñ dil khiñch aa.e haiñ gesu-e-mushk-bār meñ
faisla ho hī jā.egā chhañTne de bhiiḌ hashr kī
'sāqib'-e-dil-hazīñ hai aaj tū bhī kisī shumār meñ
Top Urdushayar.com