takalluf hai murād-e-dil kā dil par baar ho jaanā
mohabbat kyā hai marne ke liye tayyār ho jaanā
na kaam aayā un aahoñ kā falak ke paar ho jaanā
mire sone se mushkil thā tirā bedār ho jaanā
nazar milte hī un se aa gayā saarā asar dil meñ
use aatā na thā pahle kabhī bīmār ho jaanā
vafā kā rāhbar hai tūda-e-ḳhākī kī jaan us ko
kamāñ-kash dil hai aage ik zarā hushiyār ho jaanā
ye tūfāñ ashk kā kam ho to samjhūñ Duub kar ubhrā
isī matlab ko sab kahte haiñ beḌā paar ho jaanā
tah-e-shamshīr jā-e-mardum-e-dīd hai dekh ai dil
yūñhī tū bhī usī din ke liye tayyār ho jaanā
zarā sī ik nigāh-e-ishq meñ āñkhoñ se girtā hai
bahut āsān hai insān kā be-kār ho jaanā
dil-e-sayyād se shikva karūñ kyā sahal hai is ko
adū phūloñ kā ho kar ham-ziyān-e-ḳhār ho jaanā
huā jo kuchh huā mamnūn huuñ sahbā-e-ġhaflat kā
qafas meñ aa ke ab be-kār hai hushiyār ho jaanā
ye kaisī nā-tavānī hai ki dil mahsūs kartā hai
mire kāñdhoñ pe ḳhud mere hī sar kā baar ho jaanā
nazar ko ek jumbish aur de ai dekhne vaale
ishāre par hai in zaḳhmoñ kā dāmn-dār ho jaanā
baham haiñ be-hisī-o-his ki dil ko ḳhvāb aatā hai
kabhī shaq ho ke dar honā kabhī dīvār ho jaanā
tumhāre zo.am meñ rahrav kā raste se guzarnā hai
kisī chhūTe hue nāvak kā dil ke paar ho jaanā
tirā āvāza-e-husn-e-suḳhan achchhā nahīñ 'sāqib'
nazar paḌtī hai tujh par ik zarā hushyār ho jaanā