mazā aatā kisī sūrat agar tark-e-vafā hotā
tumhārī tarah maiñ bhī be-vafā hotā to kyā hotā
musībat ho ga.ī āḳhir tamannā kī giraftārī
agar be-mudda.ā hotā to banda bhī ḳhudā hotā
ye shān-e-be-niyāzī hai ḳhudā ma.alūm hotā hai
ḳhudā ma.alūm kyā hotā agar vo but ḳhudā hotā
na rahtā yuuñ pareshāñ raat din maiñ fikr-e-darmāñ meñ
jo mujh ko dard denā thā to be-darmāñ diyā hotā
hamārī nā-umīdī kā to hai ilzām qismat par
tumhārā mudda.ā hotā to manzūr-e-ḳhudā hotā hotā
kisī ke paas dil hotā to sharh-e-dard-e-dil karte
ye hasrat rah ga.ī ham ko koī dard-āshnā hotā
azal se soḳhta-sāmāñ huuñ fikr-e-āshiyāñ kyā ho
na girtī barq to ye soz-e-dil se jal gayā hotā
na mujh se iltijā hotī na ḳhud vo mehrbāñ hote
guzar hotā bhī un kī bazm meñ apnā to kyā hotā
dam-e-āḳhir marīz-e-ġham ḳhudā ma.alūm kyā kahtā
na hote mehrbāñ sun kar magar sun to liyā hotā
hamārī be-kasī bhī ik na ik din kaam aa jaatī
agar 'beḳhud' koī ham be-kasoñ kā bhī ḳhudā hotā