nigāh-e-mehr se dekho na ġham-zada dil ko
banāo aur na mushkil hamārī mushkil ko
zamāna qatl huā aur vo rahī pyāsī
gilā hai abrū-e-qātil se teġh-e-qātil ko
mire ḳhayāl ne ḳhalvat ko kar diyā mahfil
tirī nigāh ne ḳhalvat banāyā mahfil ko
na jaane dil kā tujhe kuchh ḳhayāl hai ki nahīñ
tirā ḳhayāl to vaj.h-e-nashāt hai dil ko
nishān-e-manzil-e-maqsūd pā hī jā.egā
vo rah-navard ki madfan banā de manzil ko
jilā de barq jo hāsil se hai yahī hāsil
ki ḳhauf-e-barq se hāsil na ho sukūñ dil ko
kahāñ se aa.ī ye hairat nigāh-e-'beḳhud' meñ
ki us ko dekh ke sakta hai ahl-e-mahfil ko