Abbas Ali Khan Bekhud

main ashk-e-KHunin baha raha hun

Abbas Ali Khan Bekhud

Kolkata, West Bengal, India

1906-1969
maiñ ashk-e-ḳhūnīñ bahā rahā huuñ
fasāna rañgīñ banā rahā huuñ
nuqūsh-e-armāñ banā rahā huuñ
banā rahā huuñ miTā rahā huuñ
nahīñ koī rāhbar to kyā ġham
kisī taraf ko to jā rahā huuñ
junūñ kī sarhad meñ aa gayā huuñ
ḳhirad ko rasta batā rahā huuñ
balā hai ye shauq-e-rah-navardī
ki aage manzil se jā rahā huuñ
alag huā ḳhizr se ye kah kar
maiñ apnī manzil pe jā rahā huuñ
zamāna badlā hai be-navā huuñ
kabhī tirā ham-navā rahā huuñ
ye nā-tavānī meñ bhī hai dam-ḳham
ki bojh ġham ke uThā rahā huuñ
vo mashq apnī baḌhā rahe haiñ
maiñ dil nishāne pe lā rahā huuñ
nahīñ fasāne kā koī maqsad
vo sun rahe haiñ sunā rahā huuñ
nahīñ vo banñe ke apne 'beḳhud'
maiñ ḳhud ko un kā banā rahā huuñ
Top Urdushayar.com