kisī se ishq karnā aur is ko bā-ḳhabar karnā
hai apne matlab-e-dushvār ko dushvār-tar karnā
nahīñ hai maut par kuchh iḳhtiyār ai vā-e-majbūrī
ummīd-e-marg meñ mushkil basar karnā magar karnā
jo par the māya-e-parvāz meñ vaj.h-e-girāñbārī
ġhurūr-e-bāl-o-par karnā to mujh ko dekh kar karnā
jafā kar shauq se tū zabt par mere na jā hargiz
shikāyat kyā mujhe ye kaam hai jab umr bhar karnā
jafā un kī vafā-parvar vafā merī jafā-parvar
vo un ko umr-bhar karnā ye mujh ko umr-bhar karnā
sar-e-rah pūchhte haiñ haal kyā kahiye ki mushkil hai
bayān-e-dard-e-dil karnā aur is ko muḳhtasar karnā
tavajjoh chāra-gar kī bā.is-e-taklīf hai 'beḳhud'
izāfa hai musībat meñ davāoñ kā asar karnā