Abbas Ali Khan Bekhud

nigahon ko zaban karna KHamoshi ko bayan karna

Abbas Ali Khan Bekhud

Kolkata, West Bengal, India

1906-1969
nigāhoñ ko zabāñ karnā ḳhamoshī ko bayāñ karnā
ayaañ karnā bhī rāz-e-dil kabhī to yuuñ ayaañ karnā
havā-e-sūd meñ rahnā na parvā-e-ziyāñ karnā
haqīqat meñ hai sāmān-e-nashāt-e-jāvedāñ karnā
kashīda ho ga.e tum jab kashish sābit huī dil kī
samajh kar chāhiye thā jazb-e-dil kā imtihāñ karnā
vafā kā zikr ḳhud karnā ḳhilāf-e-rasm-e-ulfat hai
subuk ho kar na pesh-e-dost bār-e-ġham-garāñ karnā
ba-īñ be-dast-o-pā.ī mil bhī jā.egā to kyā hogā
abas hai fikr-e-manzil meñ talāsh-e-kārvāñ karnā
mujhe terī razā marġhūb thī varna na thā mumkin
jafā-e-dostāñ sahnā sanā-e-dushmanāñ karnā
unheñ zid hai ki haiñ āzurda mujh se be-sabab varna
nahīñ hai jurm kuchh zikr-e-jafā-e-āsmāñ karnā
sar-e-mimbar hai vaa.iz mo'tariz kyoñ but-parastī par
yahāñ lāzim nahīñ mard-e-ḳhudā zikr-e-butāñ karnā
kisī kā raaz itnā qīmtī thā qalb-e-'beḳhud' meñ
ḳhamoshī ko zarūrī ho gayā qufl-e-dahāñ karnā
Top Urdushayar.com