mohabbat ġhair-fānī hai maraz hai lā-davā merā
ḳhudā kī zaat baaqī hai mohabbat hai ḳhudā merā
na jiite jī huā hargiz vafā nā-āshnā merā
par us kī dāstāñ ban kar rahā zikr-e-vafā merā
jafā kā terī tālib huuñ vafā hai mudda.ā merā
yaqīn-e-nā-murādī par bhī dekho hausla merā
ye kaisī chheḌ hai kyoñ pūchhte ho mudda.ā-e-dil
hue jab mudda.ī ke tum suno kyuuñ mudda.ā merā
paḌe kyuuñ soch meñ tum qatl karke mehrbāñ mujh ko
vafā kī thī ḳhatā kī thī nahīñ kuchh ḳhūñ-bahā merā
nahīñ ma.alūm kis par aaj phir mashq-e-jafā hogī
ki hai un ke laboñ par aaj phir zikr-e-vafā merā
dil-āzārī kā baa.is ho nahīñ saktī jafā terī
vahī hai nā-murādī par bhī andāz-e-vafā merā
ḳhudā jaane harīm-e-nāz hai kitnī bulandī par
ki guzrīñ muddateñ lekin hai naala nā-rasā merā
mujhe mahshar meñ bhī ummīd kam hai daad paane kī
ḳhudā.ī jab butoñ kī hai to kyā hogā ḳhudā merā
masīhā.ī kā un kī imtihāñ manzūr hai varna
mujhe ma.alūm hai 'beḳhud' maraz hai lā-davā merā