maiñ to fidā-e-nargis-e-mastāna ho gayā
paimāna se dil ab mirā mai-ḳhāna ho gayā
har rañg meñ mujhe hai ma.e mushk-bū kā rañg
jo zarf haath aa gayā paimāna ho gayā
kuchh maḳhmasāt-e-dahr the dīvāngī se kam
achchhā huā ki ishq meñ dīvāna ho gayā
dil chāhiye gudāz nahīñ zor-o-zar se kaam
apnī misāl ishq meñ parvāna ho gayā
hotā na bāġh-e-dil kabhī shāhān-e-iltifāt
achchhā huā bahār meñ vīrāna ho gayā
dānā.ī zer-e-dām hai ai murġh-e-dil abas
maanā ki daana khā ke tū ab daanā ho gayā
'beḳhud' to nā-rasā.ī zulf-e-butāñ na pūchh
qismat pe merī ḳhanda-zan ab shāna ho gayā