hijr kī shab zulf-e-barham kā ḳhayāl aatā rahā
ik na ik har din mire sar par vabāl aatā rahā
shukr hai tārīk dil meñ raushnī ke vāste
go tasavvur meñ sahī us kā jamāl aatā rahā
hai karam us kā ki ham se be-basar ke vāste
ālam-e-amsāl meñ vo be-misāl aatā rahā
bhūlne vaale ko āḳhir dil bhulā.e kis tarah
be-ḳhayālī meñ bhī jab us kā ḳhayāl aatā rahā
maiñ ne apnī ḳhastagī kī daad paa.ī is tarah
mere arz-e-hāl par un ko jalāl aatā rahā
bas yahī kyā kam hai merī sāf-goī kī dalīl
un ke dil meñ merī jānib se malāl aatā rahā
kyā bigaḌ jaatā jo ho jaatī tavajjoh kī nazar
muddatoñ dar par gadā-e-be-savāl aatā rahā
mujh ko 'beḳhud' jab kabhī aayā hai tauba kā ḳhayāl
der tak apne gunāhoñ kā ḳhayāl aatā rahā